Free Web Hosting Kaise Aur Kaha Se Register Kare
Maine isse pahle wale post me free domain kaha se lena hai bataya tha i hope aapne apna free domain register bhi kar liya hoga jaisa ki mane bataya tha aapko free domain ke saath free me web hosting kaha se aur kaise milega wo mai is post me bata raha hun .
Agar abhi tak aapne domain register nahi kya hai to ise pade
Agar abhi tak aapne domain register nahi kya hai to ise pade
Free Hosting features
✅ Unlimited Disc Space
✅ Unlimited Bandwidth
✅ 10 Email Accounts
✅ 400 My SQL Database
✅ PHP 5.4 ,5.5 ,5.6 , 7.0
✅ MySQL 5.6
✅ Apache 2.4 with .htaccess
✅ Linux 3.2
✅ Free Subdomain Name
✅ Free SSL on all website
✅ Free Cloudflare CDN
✅Free DNS Service
Free web hosting me aapko itne saare features milenge bilkul muft me ↺
To chaliye register karte hai free web hosting ..
Signup Kare
Sabse pahle Infinity Webpage Par Jaye is Link Ko Follow Karke Aur signup par click kare.
- Email / Gmail dale aur password create kare
- Captcha solve kare
- Team of service accepts kare
- signup par click karke register kare
Aapke Email / Gmail inbox par ek confirmation link jayega us link par click karke mail confirm kare confirmation link milne me kuch samay lag sakta hai 5 ya 10 minutes wait kar le agar confirmation link naa aaye to Resend Message par click kar de dubara confirmation link paane ke liye.
Hosting Account Banaye
New account par click kare .
- Domain enter kare .
- Username Aur Password Automatic Generate Ho Kar Aapke mail par chala jayega.
- Captcha solve kare
- Create account par click karke account banaye
To hamne successfully hosting account create kar liya hai ab aapko apne domain me webhosting ka name server jodna hoga ye mandatory ( अनिवार्य ) hai ..
Name Server Add Karen
Hosting ka name server domain me jodne ke liye apne domain par jaaye jahaa par aapne domain register kiya hai yadi freenom.com se domain register kiye hain to Is Link Ko Follow Karen .
Jaayen ⏩ Domain ⇒ Manage Domain⇒ Management Tool ⇒ Name Server
Ab yaha par use Custom Name server select kare aur name server 1 me - ns1.epizy.com aur nameserver 2 me - ns2.epizy.com ko point karke save kare
jo name server yellow color me highlight kiya gya hai use hi point kare name server field me.
Nameserver point karne ke baad wapas apne hosting account par jaaye ..
Client area me jaaye .
Username aapke Mail inbox me mail ke jariye chalaa gya hai aur password yaha se note karle user id aur password note karna na bhule ..
Approve kar de..
Wordpress Install Kare
Hosting account to hamne create kar liya hai ab wordpress install karna hai iske liye Softaculous Apps Installer par click kare ...
Wordpress par click karne par install ka option ayega us par click karna hai .
- Agar SSL use karna hai to to Https:// select kare ya SSL nahi hai to Http:// select kare .
- Domain Choose kare
- In directory me wp ko delete kar de
- Site name dale.
- site description ( meta tag ) dale.
- Wordpress ke user id dale jo bhi aap user id create karna chahte ho.
- New password create kare
- Email id create kare @ke baad aapka domain name hi rahega @ke pahle aap apna name ya admin ya aap apne choice se kuch daal sakte ho.
- Language choose kare.
- Limit Logging Attempts ( Loginizer ) ko tick kar de.
- Website ke liye theme choose kare.
- Installation details email par paane ke liye email id enter kare .
- Install par click kar ke install kare..
Details note karke link ko follow kare
Yaha par do editer hai inme se apne choice ka koi ek install kar le..
Finely aapne successfully wordpress install kar liya hai is page se aap apna site customize , new post, new pages, widgets aur menus manage kar sakte hai . Agar koi error ya problem aaye is process ko follow karne me to mujhse puche email , comment ya social media ke jariye .
Wordpress site ko manage kaise kare new post , page , menu, widget kaise add kare in sab ke baare next post me bataunga agar aur is article me likhunga to ye post bahut lamba ho jaayega ...
Ummid hai ye jankari aapko pasand aaya ho Hosting register karne me koi problem aaye to aap hamse puch sakte hain ..
Is article ko like , comment aur apne dosto ke saath share jarur karen aur hamare blog ko bhi subscribe karen ......
GOOGLE SEARCH CONSOLE KYA HAI
BLOG KO GOOGLE SEARCH CONSOLE ME KAISE ADD KARE
BLOG KI BASIC SETTING KYA HAI
APNE BLOG ME LOGO KAISE LAGAYE
Ummid hai ye jankari aapko pasand aaya ho Hosting register karne me koi problem aaye to aap hamse puch sakte hain ..
Is article ko like , comment aur apne dosto ke saath share jarur karen aur hamare blog ko bhi subscribe karen ......
GOOGLE SEARCH CONSOLE KYA HAI
BLOG KO GOOGLE SEARCH CONSOLE ME KAISE ADD KARE
BLOG KI BASIC SETTING KYA HAI
APNE BLOG ME LOGO KAISE LAGAYE
How To Register Free Hosting For Blogger
Reviewed by Digital Bane
on
Saturday, October 20, 2018
Rating:

No comments: