How To Upload Template In Blogger

Google Blogger Me Template Kaise Upload Kare



Google blogger me custom blogger template kaise upload karte hain jab ham new blog banante hain to google blogger ka jo default template hota hai use lena padta hai jo ki ek basic template hota hai jiska look bhi kuch khas nahi nahi hota .
Custom template install karne ke liye aapke paas template  hona chahiye to sabse pahle koi template download kar lo blogger ke liye bahut saare template hai jo google search karne par aasani se mil jaayenge .
Agar mera template aapko acha lagta ho jo mere blog pe hai abhi use bhi download kar sakte ho mere template ka name BTNT BLOGGER TEMPLATE hai .

Template Upload Kare



Template blogger me upload karne ke se pahle kuch jaruri baato ka khyal rakhna hoga agar pahli baar custom template upload kar rahe hain to koi baat nahi hai agar pahle se koi template upload kiye hain aur use badal kar dusra template upload karne jaa rahe hain to sabse pahle apna purana template download karle Download theme link jo diya hai waha se.
isase hota kya hai new template upload karte time ya by chance pahle se naye wale template me koi dikkat ho ya phir template corrupt ho to aasani se apnae purana wale template par restore kar sakte hain .

  • To pahle blogger me logging kare aur Theme par click kare.
  • Backup - Restore tab par click karna hai click karne ke baad ek popup windows aayega 
  • Choose file par click karke template choose kare file - folder se jaha par template download karke rakhe aap 
  • Last step me upload par click karna hai 

Dekha Dosto kitna aasan hai na blogger template upload karna agar phir bhi koi problem aaye template upload karne me to Comment ya Email ke jariye mujhse puche aap ki help karne me mujhe khushi hogi...


How To Upload Template In Blogger How To Upload Template In Blogger Reviewed by Digital Bane on Thursday, August 30, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.