Blogger Ka Basic Settings
Google blogger par blog banane ke baad settinsgs me kya kaise set karna hai is post me dekhenge Google blogger par blog kaise banana hai ye mai pahle bataa chuka hu .
Blog dashboard par logging karke Settings , basic settings par jana hai
- Apne blog ka title aur description likhna hai Description Maximum 500 Characters ka hona chahiye isase jyada ka nahi likh sakte
- Privacy section me Yes par click kar ke settings save kar de.
- Post , comment aur sharing settings par jaana hai.
- Main page par jitna post dikhana hai jaise 4, 5 ,6 ya apne tarike se utna set karna hai.
- Comment location Embedded rakhna hai
- Kaun comment kar sakta hai aur kaun nahi use select kare yahaa 3 option hai Anyone, User with google accounts aur Only member of this blog.
- Email settings par jaaye.
- 1st option diya hai post using email agar aap apna koi bhi article apne blog par email se post karna chahte hai to Publish email immediately ko select kar le ya email se articles likh kar blogger draft me save karna ho to Save email as draft post ko select karna hai Agar email se articles post nahi karna hai to Disable kar dena hai ek chij ka dhyan rakhna hai jo secret word diya hai wahaa par apna kuch secret word daale jaise koi number , latter jo sirf aapko pataa ho .
- Language formatting par jaaye
- Language aur transliteration ko select kare .
- Time zone agar india ka dikhana ho to india standard time ya kisi aur country ka dikhanan hai to dropdown se select kare.
- Timestamp format select kar le.
- Search preferences settings me jaana hai.
- Meta tag / Description likhe apne blog se related Discription me dikhana hai aap apne blog par kya karte hai kis chij se releted hai aapka blog Meta tag easa hona chahiye jisase aapka blog hi nahi aapka har post bhi usi se related ho jaise "A blog about social networking and web design." Meta tag blogger ke liye bahut jaruri hota meta tag / blog description likhne se aapka blog bahut hi aasani google search ya other search engine me aa jata hai Description maximum 150 Characters ka hona chahiye 150 Characters se jyada ka likhne par settings save nahi hoga
- User settings me jaye .
- Profile choose kare agar apne blog par Google+ profile dikana hai to Google+ select kare ya custom profile dikhana hai Blogger select kar le.
Koi badi process nahi blogger setting images par maine numbering bhi kar diya hai taki aasani se samjh me aa jaaye phir bhi koi error aaye to comment ya email kar ke puche hamse aapka help karne me mujhe bahut khusi hogi...
Isko Bhi Padhe
Basic Settings Of Google Blogger
Reviewed by Digital Bane
on
Tuesday, September 04, 2018
Rating:

No comments: