Blogger Me Google Analytics Add Kare
Agar aap blogger hai apne blog ko seriously le rahe hai aur blog par jyada trafic pana chahte hai to blogger par Google Analytics add karna bahut important hai Google Analytics web traffic tool hai jo aapke web , blog ki nigrani aur trafic ka source pataa lagane me sahayta karta hai Google Analytics ko blogger par add karna aasana hai kyuki Google Analytics aur blogger dono google ka hi product hai isiliye blogger ke liye ye process bahut aasan hai.
Is post me mai aapko Google Analytics par account kaise banana hai aur ise blogger me add kaise karna hai sab step by step bataa raha hu...
Google Analytics Ke Liye Sign Up Kare
Google Analytics Website par jaaye signup par click karke apne google account / Gmail se account bananye Analytics account ke signup karna hota hai.
- Yaha par do platform ke liye diya hai website / blog ke liye chahiye to website select kare ya mobile app ke liye chahiye to mobile app select kare.
- Account name dale.
- Website name dale jo google analytics dashboard par show karega.
- Apne blog ka URL dale.
- Industry select kare .
- Time zone select kare.
- Yaha par kuch option diya hai chek karne ke liye sabhi par chek kar de.
- Get tracking id par click kare
Yaha kuch sharte hain unhe accept karna hota hai dono jagah par tick karke .
I accept par click kare.
Tracking code blogger me add karne ke liye yahaa par 2 Methods hai dono Methods ke baare me mai step by step bataa raha hu lekin aapko dono me se koi ek hi Methods follow karna hai .
Step 1 ➦
Tracking ID yaha se copy kar le.
- Logging kar ke blogger dashboard par jana .
- Settings phir other setting par jaaye.
- Analytics Web Property ID wale jagah par Jo tracking code copy kiye ho use paste kar de..
Step 2 ➦
Tracking code copy kare is code ko aapke blog template me apply karna hai .
- Blogger dashboard par jaaye .
- Theme par jaa kar HTML edit kare.
- Html me <head> search kare.
- Tracking code thik <head> ke upar paste karke theme save kar le.
Ek Baar phir remember kara du yaha par 2 methode diya huwa hai in dono me se koi ek hi metode ka upyog kare .
Simply aapne blogger me google analytics ko add kar liya aapka data google analytics dashboard par dikhne ke liye minimum 24 hours lagega agar koi error ya problem aaye to puche email ya comment karke .....
How To Add Google Analytics To Blogger
Reviewed by Digital Bane
on
Sunday, September 02, 2018
Rating:

No comments: